Shree Lakshmi Chalisa

Shree Lakshmi Chalisa



Doha

Matu Lakshmi Kari Kripa, Karo Hriday Mai Vaas

Manokamna Siddha Kari, Purvahu Meri Aaas.


Soratha

Yah Hi Meri Ardas, Hath Jor Viniti Karoon

Sabh vidhi Karo Suvas, Jai Janani Jagdambika.

Chaupaii

Sindhu – suta Main Sumirun Tohi,
Gyan Budhi Vidya do mohi.

Tum saman nahin koi upkaari,
Sab Vidhi purvahh aas hamari.

Jai Jai Jai Janani Jagdamba,
Sabki tum he ho avlamba.

Tum ho sab ghat ghat ki vasi,
Vinti yahi hamari khasi.

Jag janani jai sindhu kumara,
Deenan ki tum ho hitkari.

Binvo nit tum maharani,
Kripa karo jag-janani bhawani.

Kehi vidhi astuti karoon tihari,
Sudhi leejay apradh bisari.

Kripa drishti chitvo mum ori,
Jag janani vinti sun mori.

Gyan budhi sab sukh kee data,
Sankat haro hamari mata.

Ksheer sindhu jab Vishnu mathayo,
Chaudah ratna sindhu may payo.

Chaudah rattan me tum sukh rasi,
Seva kiyo prabhu ban dasi.

Jo jo janam prabhu jahan leenha,
Roop badal tahan seva keena.

Svayam Vishnu jab nar tanu dhara,
Leenyo avadhpuri avatara.

Tab tum prakat janakpur manhee,
Seva kiyo hriday pulkahi.

Apnayo tohi antaryami,
Vishwa vidhit tribhuvan ke swami.

Tum sam prabal shakti nahin aani,
Kahnlau mahima kaho bakhani.

Man kram vachan karay sevakayee ,
Man ichhit vanchit phal payee.

Taji chal kapat aur chaturayee,
Pujahee Vividh bhaanti man lai.

Aur hal mai kahoum bjhuyayee,
Jo yeh path karay mun layee.

Ta ko koee kasht na hoyee,
Mun icchit vanchhit phal payee.

Trahi trahi jai dhukh nivarini,
Taapbhav bandhan haranee.

Jo yah padhey aur padhavay,
Dhyan laga kar suney sunavay.

Tako koi rog na satavey,
Puttarad dhan sampatti pavey.

Puttarheen aru sampatiheena,
Andha vadhr koree ati deena.

Vippra bolayay key path kara,
Shanka dil mein kabhi na lavai.

Path karavay din chalisa,
Tapar kripa karein gaurisha.

Sukh sampati bahut see pavay,
Kami nahi kaho kea aaway.

Barah maas karai jo puja,
Taihi sam dhanya aur nahi duja.

Pratidin path karaai man mahi,
Un sum koi jag main kahun nahi.

Bahu vidhii kya main karoon barayee,
Lay pariksha dhyan lagayee.

Kari vishvas karaye vrat ma,
Hoya siddh upjai ur prema.

Jai jai jai lakshmi bhawani,
Sab main vyapit ho gunkhani.

Tumharo tej prabal jag mahi,
Tum sam kohoo dayal kohu nahee.

Bhool chook kari kshama hamari,
Darshan deejay dasha nihari.

Bin darshan vyakul adhikari,
Tumhi achchat dukh sahtay bhari.

Nahin mohihn gyan buddhi hai man mein,
Sab janat ho apney man main.

Roop chaturbhuj karkey dharan,
Kasht moor ab karhu nivaran.

Kehi prakar main karoo barayee,

Gyan buddhi mohi nahi adhikaji.

Doha

Trahi trahi dukh hari, haro baygi sab tras
Jayati jayati jay Lakshmi, karo Shatru ka nash
Ramdas dhari dhyan nit, vinay karat kar joor
Matu Lakshmi das pai, karhu daya ki kora



____
  • Download 99Advice app
  • Share To:

    Sumegha Bhatnagar

    I am an independent writer and blogger from Delhi. I Completed my graduation and masters in Hindi Honors from Delhi University. After that, I pursued an M.B.A. from IMT Ghaziabad. I blog, I write, I inform @WWW.99ADVICE.COM Here, I delve into the worlds of travel, fashion, relationships, spirituality, mythology, food, technology, and health. Explore stunning destinations, stay trendy with fashion insights, navigate the intricacies of relationships, ponder spiritual matters, unravel ancient myths, savor culinary delights, stay updated on tech innovations, and prioritize your well-being with health tips and many more fun topics!! Join me as we explore these diverse topics together!

    Post A Comment:

    0 comments so far,add yours